Ye Khamoshiyaan....
Ye khamoshiyaan ek chingari ki tarah mujhme kahi panap rahi hai
kaisi hai khamoshiyan ? aur kyu aa gayi mujhme ? aur kab isne mujhe apna basera chun liya ?
aise hi kai sawal mera mann mujhse krta hai aur mera jawab
naa jane kyu un khamoshiyon ke sath har wakt mashgool rahta hai...
Ye khamoshiyaan mujhse chahti kya hai aur ek chingari ki tarah mujhme rah kar jalati kya hai ?
jab ye chingari ki tarah mujhme ghar kar gayi to mujhe utni takleef nahi hui
lekin jab ye chingari ek aag bankar mujhme jalne lagi to
mere armaan meri pahchan mera abhimaan mera samman
meri shakti meri bhakti meri khushi aur meri hasi sab jhulas kar rah gayi
aur takleef mujhe sabse zada tab hui jab mai unhe jalta hua dekhta raha
aur khud ki barbadiyon ka tamashbeen bankar khud ko lachaar aur bebas samajhta raha.
Ye khamoshiyaan apne isharon par mujhe har wakt ek kathputli ki tarah nachati rahi
aur mere barbadi ka tamasha mere aankho ke samne is dunia ko bhi dikhati rahi.
jal chuki thi har chiz mere andar jo mujhe sabse zada pasand thi
bus unki rakh mujhe hamesha ke liye khak karne ke liye aage badh rahi thi.
lekin ye khamoshiyon ki bhayankar aag sirf mere ek hisse ko na jala payi lakh koshisho ke bavjood
aur wo hissa meri aatma thi mera mann tha jise na wo chita ki aag jala payi aur naa ye zameen kabhi dafna payi kyuki ye aatma sirf us parmatma se milti hai aur khud ko hamesha ki liye ajar amar kar deti hai.
Ye khamoshiyaan us wakt khamosh ho gayi jab meri aatma ne mujhe jhakjhora
aur mujhe is gahri need se utha ke ye bola ki uth tu is gahri neend se
aur is jalte hue aag pe pani daal kyuki tera man aaj b zinda hai fir in khamoshiyon ki kya bisat.
fir ye khamoshiyan us pal hi mujhme banaya hua apna basera chod kar kahi chali gayi
kyuki mere mann ne mujjse chilla kar kaha bande tu abhi bhi zinda hai
isliye jeete jee khud ki cheeta me aag mat laga....!!!
No comments:
Post a Comment