Kabhi is paar aana chahu to kabhi us paar jana chahu
is paar us paar ki kashmakash me har ek baar jaana chahu
kabhi pattharon se takrana chahu to kabhi lahron k sath lahrana chahu
takrane ke kuch wakt baad un pattharon ko lahron se milana chahu
kabhi hawaon ke sath bahna chahu to kabhi khud ko aajmana chahu
ajmane ke kuch wakt baad khud ko hawaon ki trh dekhna chahu
kabhi wakt ke sath daudna chahu to kabhi ruk kr peeche dekhna chahu
peeche dekhne ke baad us wakt ko wapas se laana chahu
kabhi maa ki godd me letna chahu to kabhi papa se kuch aur seekhna chahu
kuch aur seekhne ke baad khud ke kadam khud hi sambhalna chahu
kabhi doston ke liye wakt chahu to kabhi wakt ko hi apna dost chahu
ye sab chahne ke baad dost aur wakt ko mere sath chalte dekhna chahu
kabhi sote wakt ek sapna chahu to kabhi us sapne ko haqiqat me badalna chahu
haqiqat me badalne ke baad fir se ek baar thoda sona chahu
kabhi zindagi ko jeena chahu to kabhi thoda thoda marna chahu
marne ke baad is dunia ko bhi sath le jana chahu....le jana chahu...le jana chahu..!!!!!
BY- ABHISHEK PANDEY
No comments:
Post a Comment