Search This Blog

Saturday, August 3, 2013

YE JEEVAN HAI TU JEETA JAA....!!!

ye jeevan hai tu jeeta jaa,kuch karta jaa kuch seekhta jaa
tu chalta ja aage badhta jaa bus yaad sabhi ko karta jaa
tu na mud kar dekh apne itihas ko
tu dekh sirf apne andar ke wishwas ko
kar tu shapath aaj aur badhta jaa
jaise Ram chale the vanvas ko
milenge bohot se mitra tujhe apni raah me
kuch bhatkayenge tujhe to kuch kahenge araam karo
bus koi ek hi hoga jo teri dhal banega aur kahega tujhse tu ladta jaa
par tujhe us bheed se hi dhundhna hai apne priya hanuman ko
kuch pane ki chah me tu vish ka pyala bhi amrit samajh peeta jaa
Ye Jeevan hai tu jeeta jaa, kuch karta jaa kuch seekhta jaa

Is jeevan ke chakravyuh me tu har dwar ko paar kar
apne dushmano ko maar tu khud ko kamyaab kar
gir jaye gar tu raah me to yaad kar maa baap ke balidan ko
us balidaan ko ehsaan maan tu bus aage aage badhta jaa
jaise badh chale the abhimanyu aur tod diya tha chakravyuh ko
kuch kaam kar kuch naam kar ki dunia tujhko samman de
pohoch kar tu manzil pe apni kamyabi ka zhanda gaad de
jeevan ke is kaal me tu us kaal ko bhi maat de
agar aaye kaal wo teri maut ban to tujhe bhi ek salaam de
tu bus apne karm ko hi apna dharm man aur befikar hokr chalta jaa

ye jeevan hai tu jeeta jaa kuch karta jaa kuch seekhta jaa


By - ABHISHEK PANDEY (WRITER)

YE KHAMOSHIYAN....!!!

Ye Khamoshiyaan....

Ye khamoshiyaan ek chingari ki tarah mujhme kahi panap rahi hai
kaisi hai khamoshiyan ? aur kyu aa gayi mujhme ? aur kab isne mujhe apna basera chun liya ? 
aise hi kai sawal mera mann mujhse krta hai aur mera jawab 
naa jane kyu un khamoshiyon ke sath har wakt mashgool rahta hai...


Ye khamoshiyaan mujhse chahti kya hai aur ek chingari ki tarah mujhme rah kar jalati kya hai ?
jab ye chingari ki tarah mujhme ghar kar gayi to mujhe utni takleef nahi hui 
lekin jab ye chingari ek aag bankar mujhme jalne lagi to 
mere armaan meri pahchan mera abhimaan mera samman 
meri shakti meri bhakti meri khushi aur meri hasi sab jhulas kar rah gayi 
aur takleef mujhe sabse zada tab hui jab mai unhe jalta hua dekhta raha 
aur khud ki barbadiyon ka tamashbeen bankar khud ko lachaar aur bebas samajhta raha.


Ye khamoshiyaan apne isharon par mujhe har wakt ek kathputli ki tarah nachati rahi 
aur mere barbadi ka tamasha mere aankho ke samne is dunia ko bhi dikhati rahi.
jal chuki thi har chiz mere andar jo mujhe sabse zada pasand thi 
bus unki rakh mujhe hamesha ke liye khak karne ke liye aage badh rahi thi.
lekin ye khamoshiyon ki bhayankar aag sirf mere ek hisse ko na jala payi lakh koshisho ke bavjood 
aur wo hissa meri aatma thi mera mann tha jise na wo chita ki aag jala payi aur naa ye zameen kabhi dafna payi kyuki ye aatma sirf us parmatma se milti hai aur khud ko hamesha ki liye ajar amar kar deti hai.


Ye khamoshiyaan us wakt khamosh ho gayi jab meri aatma ne mujhe jhakjhora 
aur mujhe is gahri need se utha ke ye bola ki uth tu is gahri neend se 
aur is jalte hue aag pe pani daal kyuki tera man aaj b zinda hai fir in khamoshiyon ki kya bisat.
fir ye khamoshiyan us pal hi mujhme banaya hua apna basera chod kar kahi chali gayi 
kyuki mere mann ne mujjse chilla kar kaha bande tu abhi bhi zinda hai 
isliye jeete jee khud ki cheeta me aag mat laga....!!!

JEE CHAHTA HAI....!!!

Na jane kyu jab mai akela hota hu to
Tere sath wo akelapan batne ko jee chahta hai
Apne rang me rang kar tujhe apni zindagi
rangeen kar du aisi holi khelne ko jee chahta hai
Jab bhi tu gam me hoti hai aur akele roti hai to
tere har ansu pee jane ko jee chahta hai
Jab bhi mai akela rota hu tujhe yad krke fir
tere kandhe pe sar rakh kar sone ko jee chahta hai

Jab chalta hu raste par yuhi bina manzil ke to tujhe
khud ki manzil bana kr tujh tak pohochne ko jee chahta hai
Jab bhi sota hu mai rato me to tujhe ek
khubsurat sapne jaisa dekhne ko jee chahta hai
Jab mangta hu tujhse mai apne haq ka pyar to
na jane kyu har pal haan sunne ko jee chahta hai
Tu yaad kare mujhe har wakt har pal aisi
khwahish parvardigar se mangne ko jee chahta hai

Hum mile kabhi yaa na mile is zindagi ke khatm hone tk
par tujhe band ankho se dekhne ko jee chahta hai
Mai aaj hu yaha par tere kareeb tu mahsoos to Kar
kal nahi rahu shayad fir bhi teri yaden sath le jane ko jee chahta hai...!!!

BY- ABHISHEK PANDEY

MUJHKO PAHCHAN TO SAHI....!!!

Mujhko pahchan to sahi

Us wakt jab mai aya is dunia me anjaan bankar
Meri maa ne mujhe pahchana ek maa bankar
Is anjaan dunia ko apni nigaho se mai jhak hi raha tha
Aur apni nanhi si ankho se kisi ko talaash hi raha tha
Tabhi kisi ne uthaya mujhe godd me aur ye baat kahi
Tu mera pyara beta hai
Mujhko pahchan to sahi

Wakt badla dunia badli soch badli
lekin kuch samajh me aane laga
Jaise jaise mai wakt ke sath
kuch insano ko pahchanne laga
Apni baat kisse kahu aur kiski sunu mai ye soch raha tha
Jab mai pahli baar apne naye school me ro raha tha
Tbhi achanak mere kandhe pe kisi ne hath rakha bola tu rona nahi
Tu naya hai aur mai tera naya dost
Mujhko pahchan to sahi

Kitni khushiya mili kitne pal mile aise
jo zindagi ko mere khubsurat bana gaye.
Kuch dost apne jaise lagne lage
jaise pichle janm ka rishta wo is janm me nibha gaye.
Khud ko mai har pal samjhata ki tu mat badalna
Aur khud me ek wishwas jagata
ki har pal hai mujhe sambhalna
Har koshish meri aaj tak nakam kyu nahi
Kyuki khud ko roz aaine me dekh mai khta
Mujhko pahchan to sahi....!!!

By- Abhishek Pandey (Writer)

JAB BHI IN LAHARON KO MAI DEKHTA HU...!!!

Jab bhi in lahron ko mai dekhta hu 
Ek ajeeb si umang jag jati hai 
Jab ye lahren khelti hui pas mere aati hai 
Kuch tazgi lekar kuch saadgi lekar kuch to ye gungunati hai 
Hawa ke sath batein krti ye chanchal ye ithlati hai 
Kabhi mere pass aati hai to kabhi door chali jaati hai 
Bus ek khwab ko khuli ankho se har pal dekhta hu 
Jab bhi in lahron ko mai dekhta hu 
Ye lehrein bhi hai ek dost ki tarah jo apas me takra kr bhi sath ek dusre ka nibhati hai 
Lagta hai yu jaise chupke se akr ye kuch kahani sunati hai 
Na kabhi soti hai na kabhi kuch khoti hai na hi inki pohoch choti hai 
Kash mai bhi daud saku inki tarh zindagi ki raah me nidar bankar 
Kash mai bhi paa saku koi kinara apne apno ke sath humarahi bankar 
Aisa hi kuch khyal mere man me ata hai 
Jab bhi in lahron ko mai dekhta hu...!!! 

BY- ABHISHEK PANDEY

Thursday, May 31, 2012

एक लेखक हु मै...!!! 


एक लेखक हु मै



हर वो एक लेख लिखता हु जो इन्सान पढ़ सके 
हर वो एक कहानी लिखता हु जो जाकर सीधे दिल में लगे 
हर वो एक शब्द तराशता हु जो पत्थर पे लिखे तो कभी न मिटे  
कल्पनाओं के दरिया में लहरों की तरह बहता हू मै

क्यूकि एक लेखक हू मै 

इस पूरी दुनिया को अपने मन से देखने की कोशिश करता हू
हर एक इन्सान को बखूबी समझ सकू ऐसी गुंजाईश करता हू 
ऐसी ही सोच समझ के अंधियारे में उजाले करता हु मै

क्यूकि एक लेखक हु मै 

भावनाओं को पिरों कर शब्दों में अपने एक दुनिया सजाता हु
उस दुनिया में अपने ही घर की दीवारों पे अक्षर के रंग लगता हु 
कुछ ऐसे ही सपनो को हकीक़त बनाने की ख्वाहिश में जिंदा हु मै

क्यूकि एक लेखक हु मै..!!!

सारे लेखकों को समर्पित....!!!


Sunday, March 11, 2012

AYE PATH KE RAAHI TU CHALTA CHAL...!!!

Aye path ke raahi tu chalta chal
Manzil ki or nikal dil ko rakh sheetal
Na kahi fisal na kahi pighal tu apna nam kahta chal
Aye path ke rahi tu chalta chal

Soch mat jada samajh se apne tu
Samajh mat jada soch se apni tu
Is soch samajh ki uljhan me tu kho dega apna kal
Jis path pe tu chal rha hai uspe hai tera wishwas atal
Aye path ke raahi tu chalta chal

Musibaton se khelna tu ab seekh le
Na kisi se kuch asha kar na kisi ki bheekh le
Tu bus chal kr apni parchai se aage badhna seekh le
Na kar tu jaldi na kar tu hulchal
Kar wakt ke sath ek nayi pahal is pal
Aye path ke raahi tu chalta chal

Manzil bhi teri hai rasta bhi tera hai
Fir kyu kar raha tu khud ko adal badal
Tu payega apni manzil ko bina kiye chahal-pahal
To na kar tu fikar bus gir gir kr sambhal
Aye path ke rahi tu chalta chal chalta chal bus chalta chal...!!!

By- ABHISHEK PANDEY (JORDAN)

Tuesday, January 17, 2012

Ye Hai Mumbai Meri Jaan....!!!

Ye hai Mumbai meri jaan
Kabhi kahti mujhse khud ko pahchan
to kabhi kahti mujhse mujhko pahchan
Jab jab gira mai nirash hokr
to kahti apne kadam khud sambhal aye nadaan
Mai mumbai hu jaha hota hai sirf khel ka maidaan

kyuki Kahte hai sab mujhko mai hu unki jaan

Kabhi mujhe tarah tarah ke logon se milwati
kabhi kuch khas rishtey banwati
Jise haqiqat man leta mera ye dil baimaan
Kyuki itna bhi nahi samajh paata
ki Ye hai mumbai sabki jaan

Mai badhta raha wakt ki ungli tham
Kyuki wakt hi tha us wakt mere liye ek insaan
Lekin kismat na jaane kaha se aa gayi bich me lekr apna imaan
Jo wakt ke sath imandari dikhayi aur mujhe bana diya sabke liye baimaan
aur kaha bacche pahle khud ki bana pahchan jo ho tera iman
Kyuki mai nahi hu teri jaan

Is baimaani ke baad smjh me aaya mujhko
na aya kam mere wakt na hi kismat aur naa hi insaan
Kyuki in sab ke chodne ke baad bhi koi saath thi mere 
aur wo thi meri sirf mumbai meri jaaaaaan..!!!

BY- ABHISHEK PANDEY

AAYI HAI....!!!


Ye ek halki si muskan kuch kahna chah rhi hai

Khud ko bhula kr ek shakhs ko yaad dila rahi hai

Kya mai khush hu ya gam me hu ye baat smjh na aa rahi hai

Lagta hai jaise wo mujhe apne pass bula rhi hai

Soch soch ke man behal kr raha mere dil ko

Naa jaane ye kaha se bhavanaon ki aandhi aayi hai

Aansuon ka sailab uske ankho se bah raha hai

Aur jalan aaj mere aankho me utar aayi hai

Aye rabba uska gam kuch der ke liye kabu me rakh

Kyuki jaan meri har pal usme samai hai....!!!


BY- ABHISHEK PANDEY

Tuesday, December 27, 2011

MAI CHAAHU......!!!


Kabhi is paar aana chahu to kabhi us paar jana chahu
is paar us paar ki kashmakash me har ek baar jaana chahu
kabhi pattharon se takrana chahu to kabhi lahron k sath lahrana chahu
takrane ke kuch wakt baad un pattharon ko lahron se milana chahu
kabhi hawaon ke sath bahna chahu to kabhi khud ko aajmana chahu
ajmane ke kuch wakt baad khud ko hawaon ki trh dekhna chahu
kabhi wakt ke sath daudna chahu to kabhi ruk kr peeche dekhna chahu
peeche dekhne ke baad us wakt ko wapas se laana chahu
kabhi maa ki godd me letna chahu to kabhi papa se kuch aur seekhna chahu
kuch aur seekhne ke baad khud ke kadam khud hi sambhalna chahu
kabhi doston ke liye wakt chahu to kabhi wakt ko hi apna dost chahu
ye sab chahne ke baad dost aur wakt ko mere sath chalte dekhna chahu
kabhi sote wakt ek sapna chahu to kabhi us sapne ko haqiqat me badalna chahu
haqiqat me badalne ke baad fir se ek baar thoda sona chahu
kabhi zindagi ko jeena chahu to kabhi thoda thoda marna chahu
marne ke baad is dunia ko bhi sath le jana chahu....le jana chahu...le jana chahu..!!!!!

BY- ABHISHEK PANDEY

Sunday, September 25, 2011


"AISA UTSAV HUMARA THA"


Aisa utsav humara tha, Jaise koi sapna haqiqat bnana tha.
Taiyarian shuru ki aisi humne, jaise Worldcup organise karana tha.
Sponsors khojne lage hum aise, jaise koi bada sa  khajana tha.
Lagav kuch is tarah hua sabse, jaise rishta koi bhot purana tha.
Aisa utsav humara tha, Jaise koi sapna haqiqat bnana tha.
Kaam krna tha raat bhar, to neend kha se ana tha ?
Tention thi itni bhari, To ciggrette kise bachana tha ?
Jimmedari thi itni badi sir pe, To ghar kise jana tha ?
Kuch gile shikwe hue aise, jispe rona kuch ko ana tha.
Aisa utsav humara tha, Jaise koi sapna haqiqat bnana tha.
Dance hue kuch aise, jisme dil kisi ka toot jana tha,
Couple dance bhot hue, kyuki Valentine theme jo banana tha.
20 din gujare aise ki, jaise 3 ghante ka film koi purana tha.
Bhavans mess me khate the sb aise, jaise Maa ke hath ka bna khana tha.
Aisa utsav humara tha, Jaise koi sapna haqiqat bnana tha.
Event jis din tha humara, us din sabko jaldi ana tha,
T-shirt pahanne the ek jaise, kyuki SBC ki pahchan banana tha.
Participate krna tha hum sabko, kyuki Event dhansu bnana tha.
Photo to aise khichwaye sabne, jaise modeling line me jana tha.
Aisa utsav humara tha, Jaise koi sapna haqiqat bnana tha.
Aya akhiri din Utsav ka, Jis din sbko ko nachna aur gana tha.
Taiyar ho rhe the sab aise, jaise kisi ki barat me jana tha.
Mehnat aisi thi hum sabki, to pasand sabhi ko ana hi tha.
Aisi hi kuch khatthi meethi yadon ke sath, Utsav khatm karana tha.
Aisa utsav humara tha, Jaise koi sapna haqiqat bnana tha.
                                                                                                               BY- Abhishek Pandey

Aaj bhi na jane kyun.....!!!!!


Aaj b na jane kyu dil uski ek jhalak ko tarasta hai,
Aaj b na jane kyu dil uski ek muskan pe marta hai,
Mai thak gya is dil ko apni majbooriyan batla kr
Lekin mera hokr bhi ye begane ke liye dhadkta hai,
Kabhi sochta hu ki na isko kuch kahu aur na iski sunu mai
Lekin na jane kyu fr man kuch aur khta hai
Mai bolta hu man se ki had me rhna seekh le
Lekin wo bhi meri had se bhot darta hai...
Aaj b soch ke hairan rhta hu ki kaise jee rha tha pahle aur kaise aaj jee rha hu,
Wakt ke sanche me dhalte dhalte badal rha hu...
Badal rha hai wakt sath mai bhi badal rha hu
Lekin ye dil wahi par thama hai jaha se sb bhul kr mai chala hu.....
By- Abhishek Pandey

Tuesday, March 22, 2011